Thursday, 18 September 2014

12. Experts

Rakesh aur Yashpal
ki karigari dekho
Purana flush tank ya tooti
ko yun bevejah na fainko

Inko aata hai karna
sab plumbing ke kam
Maan lo bhai
inke kam ke 
munasib hain daam
Mehenath aur parishram
inke hain nam
Leak bandh karne
piping fit karna
inke bayen hath ka kam

Rakesh aur Yashpal
ki karigari dekho
Purana flush tank ya tooti
ko yun bevejah na fainko ! :) !

2 comments:

  1. bahut hi inspiring log hain .... aur aapne bilkul sahi kaha hai ki mehnathi, parishrami aur imaandaar log ab bahut hi kum milte hain .... koi inse ye sab seekhe ... Rakesh aur Yashpal ko namashkar !

    ReplyDelete